Monday 25 March 2013

Painful Poetry

Dard Bhari Poetry

Mery chaaro�n taraf hai dasht-e-be-paaya�n, kahan ho tum?
Mery maathay pe bosa deni wali maa�n! kahan ho tum?
Mujhy jhalsa rahi hai zindagi ki dhoop barso�n se
Meri umeed, meri zeest ka saaman kahan ho tum?
Kharaash�ain daal di hain dil k aainey pe duniya ne
Mery har dukh, mery har dard ka dar-maa�n kahan ho tum?
Mein thak k girney wala hun, mujhy aaghosh mein lay lo!
Ta�aqub mein hai mery gardish-e-dauraa�n, kahan ho tum?
Mery wo dost khush-qismat hain jin ki maee�n zinda hain
Meri nazro�n mein saara sheher hai weeran kahan ho tum
Kahan ho tum? ye dekho mera seena kitna ghayal hai!
Mery zakhm�on ko marham ki talab hai maan! kahan ho tum?


No comments:

Post a Comment