Monday 25 March 2013

Unfaithful Poetry

Bewafa Poetry

Ye roshan aur piyari aankhain
Zalim khaak mein rul jaingi
God mein lainy wali baanh�ain
Beher-e-fana mein ghul jaingi
Maa�n tum tanha chorr k hum ko
Sheher-e-ajal mein kho jaogi
Bujh jaingi roshan aankhain
Maa�n tum chain se so jaogi
Sheher-e-abad ki ho jaogi
Charagar�on k qaatil jumley
Sunta hun to dukh hota hai
Zabt karo�n to dum ghut�ta hai
Ashk piyu�n tou dil rota hai
Taaq umer se dheeray dheeray
Kitni sham�ain bicharr chuki hain
Tum se pehly taiz hawa se
Kitni aankhain ujarr chuki hain
Lekin ye ghum kaisa ghum hai?
Jis k sog mein chashm-e-falak bhi
Janay kitney roz se num hai
Janey kab tk ro�aingi aankhain
janay kab tk lamhay gin gin
Guzraingy sooli per ye din
Aur phir ik din . . .
Sochta hun to kaanp uthta hun. . .!


No comments:

Post a Comment